giton ka shahr hai ki nagar soz-o-saz ka
qalb-e-shikasta aur ye aalam gudaz ka
chaaron taraf saji hain dukanen KHulus ki
chamka hai karobar har ek hila-saz ka
wo chahe KHwab ho ki haqiqat magar kabhi
ehsan uThaega na libas-e-majaz ka
jis tarah chaha jae hai chaha nahin abhi
andesha jaan khae hai ifsha-e-raaz ka
bahrupiya hai koi phire hai nagar nagar
qatil ka rup dhaare kabhi chaarasaz ka
yun hanste hanste dar-e-fana se chala hai wo
jaise safar nasib ho arz-e-hijaz ka
'abid' ghamon ki dhup mein jalna hai chaar din
bas qissa muKHtasar hai ye umr-e-daraaz ka